how to create new email account on gmail, Email id kaise kaise banaye.


hello friends, 
Aaj ke waqt me email id har aadmi ke paas hona bhuat jaruri hai. Aap to janate hi honge jab internet nahi tha tab koi bhi docoments hum by post bhejate the jise milne me kafi time lagta tha. aur aaj ke dijitel waqt me wahi docoments kuch minutes me mil jata hai. isiliye agar aapko is digitel duniya logo ke saath chalana hai to aapko bhi technology ke saath chalna hoga, nahi to aap piche reh jayege. hum email id bhuat se sites par bana sakte hai, jaise - gmail, hotmail, yahoo, rediffmail, etc.
Aaj hum gmail id banane ke bare me janne wale hai. gmail id ko banana bhuat se hi aasan hai. ye account sirf 3 step ban jayega. to chaliye aapko details me batate hai. 



gmail par account kaise banaye



Gmail id kaise banaye.

Gmail id banane ke liye sabse pehle aapko gmail ke site  www.gmail.com par jana hoga. aap yaha par click karke sidhe gmail ka create account ke form me ja sakte hai. 



Step 1


create gmail account





1 - yaha aap apna naam bhar den. 

2 - yaha aap apna surename bhar den.  

3 - yaha aap apna username dale for exampale latest11, tech1999,  jo aapko pasand ho bhar den.  

4 - yaha par koi acha sa password bhar den. dheyan rahe jitna bada password hoga utna hi secure aapka account hoga. 

5 - jo password upar bhara hai wahi password yaha bhar den. 

6 - yaha par apna date of birth daal den. 

7 - yaha par gendar bharna hai. ager aap male hai to male bhar den. agar female hai to female bhar den. 

8 - yaha par aapko apna phone number bharna hai. 

9 - agar aapke pass koi email id hai to aap yaha bhar den. agar aapke nahi hai to aap apne dost ka email id bhi bhar sakte hain.  

10 - yaha aapko apna country select karna hai. agar aap india se hai to india select kare.  

11 - upar diye huye sabhi box ko bharne ke baad ek baar ache se check kar le. check karne ke baad next step par click kar den. 







Step 2





google account



Next step par click karne ke baad ek pop up window khul jayega. window open hone ke baad aap agar gmail policy ya service ke bare me padhna chahate hai to yaha padh sakte hai. jab aap ache padh le tab aap (I AGREE) button par click kar den.





Step 3

   
create new gmail account






















I AGREE par click karne ke baad ek naya window open hoga. naye window me aapko (Continue to Gmail) par click karna hai. click karne baad aapka gmail id open ho jayega. jisme 2 ya 3 mail gmail ke taraf se aaya hoga. aap in mails ko open karke dekh  sakte hai. ab aap kisi ko bhi mail send kar sakte hai. 




 
next post hum aapko gmail id ke fhayede ke bare me batayege. 
agar aapko kisi aur site jaise yahoo, hotmail ya rediffmail par email id banane ke bare janna chahate hai, to comment karke bataye. hum uske upar bhi post likh ke aapko step by step batayege. dosto is post ko share karne mat bhuliye. Thank you.   





Ise bhi padhe: 

# - Internet Se Paisa kamane Ke Liye Kya Hona Jaruri.  

# - CLIXSENSE SE PAISA KAISE KAMAYE.  

# - internet ki speed fast karne ka 6 best tarika. 

# - 6 Most Amazing Cool Websites
Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon