how to secure android phone from theft or hackers,

Apne Android phone ko kaise secure kare.

hello dosto, 
hum me se bhuat se log android phone ka use laparwahi se karte hai, aur kai log apne phone me koi bhi lock nahi lagate, kuch log lock lagate bhi hai to simple lock jo bhuat hi aasani se khul jata hai. agar aap log yesa karte hai to future me aapko bhuat broblam ho sakte hai. jaise aapka parsonal photo, video, mails, etc ki jankari chori ho sakti hai. isliye hum aapko security tips batane wale hai. aap in tips ko follow karke apne smart phone ko chor aur hackers se bacha sakte hai.  






1 - Apne phone me strong password lagaye.  

Aap apne phone me koi acha sa password set kare, password kam se kam 4 dijit ka hona chahiye. aap chahe 6 dijit ka bhi set kar sakte hai, agar aap apne phone ko aur jada secure bana chahate hai to apne password me latters aur symbols ka istemaal kare. jisse aapke phone ko kholna choro ke liye muskil ho jayega.  





2 - Application ka permission jarur check  kare 

Google play store se application ko intall karte time aap us application ka permision jarur check karen. jab aap application download karne click karte to wo hum se pemision mangta hai, aur aap bina permision check kiye accept par click karte hi rehte hai. kam se kam dekh to lo kya maag rha hai.  
 jaise Your Identity,  Sms, Photo and media files, wifi connection information, your devic id, your call infomation, your social infomation, read contect etc aur bhi bhuat se chijo ka permision magta hai. aur to aur kuch app to aapke background me hamesa chalate rehte hai 



3 - Bluetooth off hi rakhe.

Aap apne smart phone ka bluetooth hamesa band karke rakhe, jab jararat ho tabhi on kare aur jab kaam khatam ho jaye to off kar de. isse koi hacker aapke phone ko hack nahi kar payega.   




4 - Unknown resource enable na kare.

Jab aap apne phone me apk file install karte hai to wo aapse permision magta hai  unknown resource ko enable karne ke liye. tab aapko unknown resource ko enable karna padta hai. tab jaake aapka application install hoga. application install ho jane baad app turant unknown recource ko disable kar de. 



5 - Free wifi ka use na kare.

kabhi bhi free wifi se apne mobile ko connect mat kare. aur na hi apne kisi account mai login kare, kyuki aaj kal hackers free wifi ke jariye phone ko bhuat hi aasani se hack kar rhe hai. isliye apne apne phone ko free wifi se connect na kare  



6 - google play se application download kare. 

Aap apne to jante hi android google ka hi opreting system hai. isliye google play store se hi application install kare. google play me lakh aaplication hai, jisme se adhiktar application free hai. agar aapko ko kisi application ki jarrurt hai jo google play me avilable nahi hai to aap Amezon aur Apk mirror ya phir kisi trusted website se download kar sakte hai.



Dosto aapko ye post kaisa laga comment karke jarur bataye, agar aap comment karge to mere confidence aur badhega, jisse aapko aur achi achi post padhne ko milega. please is post ko share kare taaki dusro ko bhi iske bare me malum ho. Thank you

Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon