how to hide media files on your android phone, hide photo and video


Android phone ka media files kaise chupaye.

 


hello friends,
Aaj hum aapko ek bhuat hi ache app ke bare me batane wale hai. is app ka naam calculator vault - gallery lock hai. is app me bhuat se functions hai, jaise images, video, application, camera ka photo ya video chupa sakte hai. isse aap ki gupt jankari dusro ko malum nahi hogi. ye app calculator ka bhi kaam karta hai. aap is application ko google play store se free me download kar sakte hai. yaha click karke app download kare. 



1 - Create Locker Password
App download karne ke baad is app ko open kare. opan karne par sabse pahle passwod set karna padta hai. aap apne pashand ka koi bhi passwod set kar sakte hai. aap koi yesa passwod dale jo aapko humesa yaad rhe. niche diye huye picture ko dekh kar aap passwod aasani se set kar sakte hai. 


 
apne mobile ka media files kaise chupaye
Add caption



2 - Password Recovery Option

passwod set karne ke baad dusra page open hoga. aapko isme koi bhi sawal likhe de. sawal kuch is tarah se ho, what is your nickname? what is your friend name? what is your teacher name?
Upar diye huye sawal ka jawab dusre box me likhna hai. niche diye huye picture ko follow kijiye.  





apne mobile ka media files kaise chupaye




Recovery passwod set karne ke baad jo nya page open hoga, uska interface calculator ke jaisa hoga. ab aapko apna passwod calculator ke screen par likhna hai. likhne ke baad brabar  (=)  ka button dabana hai.
 





apne mobile ka media files kaise chupaye




Brabar ka button dabane ke baad aapka my file jaisa page open ho jayega. ab aapko plus (+) ke button ko dubana hai. plus ka button dubane par aapke mobile ka media files open ho jayega. ab aap photos, vidoes, hide kar sakte hai. koi bhi file chupane ke liye aap ko us file par nissan lagana hai. nissan lagane ke baad screen ke upar me lock ka button dabana hai. ab aapke photo ya video ko koi nahi dekh sakhta. 




 apne mobile ka media files kaise chupaye







Note - Agar  aap apna password bhul gye hai to aap calculator me jaake, aap 11223344 likhe aur brabar ke button ko dabaye. yesa karne par aapko Password Recovery Option milega, aap ne jo gupt sawal set kiya hai uska jawab dene ke baad aap naya password set kar len.  



I hope aap ko is post se kuch na kuch sikhne ko mila hoga. aap is post ko share bhi kar sakte hai. agar koi problam hai to comment karke bataiye. mujhe aapki help karne me khushi hogi.  
Thank you...


 




Previous
Next Post »

2 comments

Click here for comments

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon