Delete hua data kaise recover kare
hello friend,
Aaj ke
time me Android phone sabhi log use karte hai. aap android
phone se call, sms, mms, mail, browsing, kar sakte hai. isliye hum sabhi apna
prosnal data apne mobile me save karke rakhte hai. kabhi - kabhi anjane me
humse kuch galtiya ho jati hai. in galtiyo se humare phone ka data jaise
photos, videos, contact numbers ye delete ho jata hai. jisse aapka bhuat nuksaan
ho jata hai. agar aap android
phone use karte hai to aapse
bhi ye galtiya ho sakti hai. tension mat lijiye hum aapko isi problam ke liye
ek trick batane wale hai. aap is trick ke maddat se apna data bhuat hi aasani
se recover kar sakta hai. iske liye aapko google play store se ek app download karna hai, is aap
ka naam Dumpster hai. aap ise google play store se free
me download kar sakte hai.
Dumpster ek acha aap hai, is aap ko 10 millions se jada logo ne downlod kiya hai. iski rating 4.1 hai jo ki acha rating hai. ye application use karna bhuat aasan hai,
Dumpster
app ko download karne ke baad install kar lijiye. install hone ke baad is app ko
open kar lijiye. open hone ke baad ye aap bilkul khali (empty) hoga. ab aap upar diye huye Dumpster par tap karke All par click kar dena hai. niche diye picture ko follow kare. iske baad jo file aap delete
karege, chahe wo galti se ho ye
aapki marji se wo sab files yaha dikhegi. agar aapki files galti se delete huyi hai to aap yaha se apna file
aasani se recover kar sakte hai.
Dumpster
app ke kuch features.
* Aapke phone ka media files ko aasani se save karta hai.
* Is app se aap screen lock bhi kar sakte hai.
* Is app me automatic clean ka bhi option hai.
* Is app ko play store se free me download kar sakte hai.
* Ye app Recycle Bin ki tarah kaam karta hai
* Dumpster 14 bhasha (languages) ko support karta hai.
dosto aap ko ye post kaisa laga comment karke jarur bataiye. aap is post ko apne dosto me share kijiye. taaki sabko iske bare me malum ho. agar aap ko kuch puchna hai to niche comment box me comment karke puch sakte hai. Thank you.
thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon