Hello friends,
Android phone ko format karne ka sahi
tarika. Aaj hum aapko Android phone ko
format karne ka sahi tarika batane wale
hai. aapko to malum hi hoga ki jab hum apna phone jada dino tak use kar deta
hai to uame jada data ya junk files jama ho jaati hai. jisse humara phone slow
kaam karne lagta hai. phone slow hone ka ek aur karan hai jise hum virus kehte
hai. aur kabhi - kabhi hang bhi ho jaata yani ek jagah par ruk jata hai. hang
ko sahi karne ke liye bar - bar battery nikalna padta hai. in presaniyo ki
wajah se ham android phone ko format karte
hai. to chaliye format karne se pehle iske bare me kuch aur jaan lete hai.
Format karne se pehle kin - kin baato ka dhayan
rahkna chahiye.
Apna android phone format karne se pehle kuch baato ka
dhayan jarur rakhe.
# - Naye phone me jo email id aur password dala tha wo aap ko yaad
hona chahiye.
# - Aapke phone memory se important picture ya video jarua nikal
le.
# - Apne contect numbar ka bhi backup le lena chahiye.
# - Aap apne pure phone ka backup bana lena chahiye
format karne se pehle in sab baato ko dhayan rakhna chahiye
warna aap ka sab data khatam ho jayega. Jisse aapko kafi nuksan uthana pad
jayega.
Android phone ko format karne ka tarika.
Android phone format
karne ka 3 tarika hai. ye teeno hi bhuat hi aasan hai. isme jo method aapko acha lage usi ko used karke apna format kare.
1- Recovery mode me herd reset kaise kare.
Agar aapka phone virus ya kisi dusre wajah se on nahi ho rha hai to aap apne phone ko recovery mode me format kar sakte hai. Recovery mode me mobile format karne ke liye niche diye huye steps ko follow kare.
# - sabse pahle aapko apna phone ko switch off kare.
# - ab aapko apna phone ko on karna hai. iske liye aapko sirf power button nahi dabana hai.
# - Recovery mode me jane ke liye (valume up + home + power) ye teeno ek saath dabana hai. ye teeno key ek saath dabane se aapka phone recovery mode me chala jayega.
# - rocovery mode me touch screen kaam nahi karta, isliye yaha par move aur highlight karne ke liye valume up or valume down key use karna hai. Aur select kiye option ko ok karne ke liye power button ka use karte hai.
# - Recovey mode me aapko factory Reset ke option ko power key daba ke ok kar dena hai.
# - Ab aapka phone kuch minute me format ho jayega.
2 - setting me phone reset kaise kare.
Android phone ko format karne ye sabse assan tarika hai. lakin isme kuch baat ka dhyaan rakhana jaruri hai. niche diye huye steps ko follow kare.
Step 1:
Apna phone
format karne ke liye sabse pehle Menu me jaye uske
baad Setting me jaye, Setting me jane ke baad Backup
and Reset me jaye.
1 - Back up my data par tik mark laga de.
2 - automatic restore par tik mark laga de.
3 - Back up my data aur automatic par tik mark lagane baad finally
factory data reset par click kar de.
Step 2:
Factory data reset par click karne ke baad ek naya page open hoga. yaha aapko reset device par click karna hai. niche diye huye picture ko follow kare.
Reset device par click karne ke baad aapka format hona suru ho jayega. phir aapka phone puri tarah se format hone bad apne aap on ho
jayega.
3 - Code ki maddat se format kaise kare.
Is codes ki maddat se bhi aap apna mobile format kar sakte hai. is ( *#*#7780#*#* ) code ko bas
apne mobile ke keypad par likh kar dial karna hai. dhayan rahe ye numbar tabhi dail kare jab aapko phone
format karna hai. numbar check karne ke liye ise dail mat kijiye.
Aapko
ye post kaisi lagi jarur bataiye. is post ko aap apne dosto ya facebook par
share kijiye taki sabko iski jankari ho, agar aapko kuch puchna hai to niche
comment box me comment kijiye. mujhe aapki maddad karne me khusi hogi.
Thank you
Ise bhi padhe:
2 comments
Click here for commentsWhat's up everyone, it's mʏ first go to see at this site, аnd piece of writing іs truly
Replyfruitful forr me, kеep up posting such articles or reviews.
Sony Xperia c2305 recovery mode me nhi ja Raha CHARGE me lagane par directly on ho jata Hy pr Pura on nhi hota Kya kren ????
Replythank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon