Apne mobile me internet data kaise bachaye, data save karne ke 5 best tarikaa



Internet data kaise save kare, ji ha dosto aaj hum mobile data save karne ke bare me janege.agar aap prepaid mobile use hai to aapko ye post jarur padhna chahiye. aksar aapka intarnet data bina use kiye hi khatam ho jata hai. aur kabhi - kabhi to internet data ke saath main balance bhi khatam ho jata hai. jisse aapko kafi nusaan uthana padata hai. aaj hum aapko mobile internet data save karne ke 5 best tarike batane wale hai agar aap limited internet user hai to aap in tips ko follow karke aap apna internet data aur paisa save kar sakte hai. to chaliye aapko details me batate hai. 




data save karne ke 5 best tarikaa








1 - Auto update - apps ko disable kare.


Aap jaise apne mobile ka internet on karte hai apps update hona suru ho jata hai. isliye aapka internet data jaldi khatam ho jata hai. behtar hoga aap apne phone ke auto update ka option band karke rakhe aur application update option ko only wi fi par set kar den. agar aapko apne phone ke applications ko update karna hai to aap wi fi use kariye. isse aapka internet data save hoga. niche diye huye picture ko follow kare.  



Auto update - apps ko disable kare.



Sabse pahle google play store ke setting me jaye. uske baad Auto update apps par click kare. auto update apps par click karne par ek pop up page open ho jayega. yaha aapko teen option milege jisme se aapko Do not auto - update apps par mark karna hai. 




2 - Media auto-download ko disable kare.

whatsapp bhi humara kafi internet data leta hai. kyu ki whatsapp par aane wale videos, Audios, aur pictures automatic download hone lagati hai. jiske wajah aapka internet data kafi kharach ho jata hai. apne phone ka internet data save karne ke liye niche diye hua pictures ko step by step follow kare.






data usage



sabse pahle 3 dots par click karke whatsapp ke setting me jaye. setting me jane ke baad data usage ke option par click kare.





auto download off kare



Data usage ke option par click karne ke baad dusra page open hoga. yaha aapko teen option milega. aap apne hisab se setting kar sakte hai. agar aapko whatapp koi bhai media files nahi karna chahte to no media ko select kare.  





3 - Chrome browser me data saver on kare.


Chrome browser use karne se bhi internet data jata kharcha hota hai. kyuki chrome browser me kisi bhi website ka web version load hota hai. jisse aapka internet data jata khatam hoya hai. data save karne ke liye niche diye picture ko follow kare.  




Chrome browser




Sabse pahle aap chrome browser open karke uske setting me jaye. setting me jane ke baad data saver ka option milega, jo aapke phone me off hoga use on kar de. 
 





4 - Autoplay disable kare.

Jab aap facebook open karke scroll down karte hai to sabhi videos auto me 1 by 1 play hone lagti hai. aap jis video nahi chaate play karna wo bhi play hone lagti hai. agar aapko isko ban kana hai to niche diye huye picture ko follow kare.







facebaak app setting




Sabse pahle facebook application open kare, uske baad facebook menu me jake app setting par click kare. 





video autoplay



App setting par click karne ke baad ek naya page open hoga. yaha aapko Autoplay ke option par click karna hai. 




facebook



Auto play ke option par click karne ke baad  aapko teen option milega. aap apne hisab se isko set kar le. 

1 - Agar aapko mobile data aur wi-fi dono me facebook ka video dekhana chahate hai to On mobile data and wi-fi connnections ka option select kare.

2 - Agar only wifi par facebook ka video dekhana chahate hai to On wi-fi connections only ko select kare

3 - Agar aap chahte hai ki koi bhi video auto me play na ho to Never Autoplay Video ko select kare.



5 - Sync ke option off kare.

Android phone me kuch applications hai jo internet data on hote hi backgroud me apne data ko sink aur save karne lagte hai. jaise google drive, candy cruch aur gmail etc isse humara kafi data kharchh ho jata hai. internet data save karne ke liye aap apne mobile ka sync ke option ko band karde. sync band karne ke liye niche diye huye picture ko follow kare.




sync



Sync off karne ke liye notification panel open kare, notification panel open hone baad simply sync ke button par tap kar de. 






dosto ye to the mobile data save karne ke 5 best tarike i hope is post se aap ko internet data save karna aa gaya hoga. is post ko social media par share karna mat  bhulana agar aapko kuch puchana hai to niche comment box me comment karke puch sakte hai. thank you





Isko bhi padhe:  

# - Delete hua data kaise recover kare

# - Apne Android phone ko kaise secure kare. 

# - 1 yesa app jo 32 ke barabar hai. 

# - Android phone ki battery bachane ka 10 best tareeka
Previous
Next Post »

3 comments

Click here for comments
Unknown
admin
July 15, 2017 at 5:00 AM ×

Enter your comment...ghjj

Reply
avatar
EL Maimani
admin
October 16, 2017 at 5:51 AM ×

I am responding to your comments but I am not able to understand who you are,
please tell your name

Thanks, coming to my blog like this

Reply
avatar
Unknown
admin
March 22, 2018 at 10:54 PM ×

Hello, This is often Tania from The united states. I like your posts and desire you all the ideal. It is an excellent job, And that i hope you keep on this job effectively.
PPC Services Company in Delhi

Reply
avatar

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon