Android phone ki battery bachane ka 10 best tareeka,Top 10 battery saving tips

hello friend,  
Aap ke time me Android phone hum sab use karte hai. Aur aap sab ko malum hi hoga ki android phones me sabse jada battery ka presani hoti hai. isiliye hum aap ke ke liye Top 10 battery saving tip de rahe, jisse aapke battery ki life badhti hai. agar aapke android phone ka battery 1 din chalta hai to wo 2 din chalega. to chaliye aap battery saving tip batate hai..  



 



















Tip no 1 -  Kabhi bhi apne android phone ko local charger se charge mat kare. jaha tak ho sake apne mobile ke charge se hi charge kare isse battery ki life badhati hai.   


Tip no 2 -  Aap apne phone ko suraj ke kirno se bacha ke rakhiye. yesa na ho ki aapka phone ghanto tak suraj ke kirno ke samne rakha rhe. isse aapke battery overheat hone ka khatra rehta hai. 


Tip no 3 -
  kabhi bhi apne mobile ko 100% charge mat kijiye. jab aap ka mobile ka charge level 90% se 95% ho jaye to mobile ko charging nikal dijiye. aur mobile ko itna bhi mat use kijiya ki aapke mobile ka battery level 0% ho jaye. jab battery ka level 20% ho jaye to use charging me laga dijiye.   


Tip no 4 - 
Aaj kal android phones me colour wallpaper aa rha hai, jise aap use bhi karte hai, battery bachane ke liye colour wallpaper use na karke black background wallpaper use kare.  


Tip no 5 - Aap apne mobile ke volume me jake system aur nolifications volume kam kar den. Ringtone aur media volume apne hisab se set kar le. volume kam karne se mobile ka speaker kam bajega jisse aapke mobile ki battery bachegi.   


Tip no 6 - Aap apne phone ka screen timeout kam se kam me set kar de. agar aapke phone ka screen time out 1 min par set kiya hai to aapka mobile 1 min tak screen light jalta rehta hai. jisse aapki battery waste hoti hai. behtar hai aap apne mobile ka screen time out 10 se 20 sec par set kare.   


Tip no 7 -  Agar aap apne phone ka brightness level kam kar ke rahke, brightness ko auto me bhi kar sakte hai. isse Android phone ki battery  bachegi.  

  
Tip no 8 -  Mobile data use karne se bhi jada battery khatam hoti hai. aap wifi use karke apne mobile ki battery save kar sakte hai. 


Tip no 9 - Mobile data, Location, Screen rotation, Bluetooth, Multi window, Wi Fi, Mobile hotspot,  in sab ko jarurat khatam ho jane par band kar de. isse battery ki bachat hoti hai.  


Tip no 10 - Aap jab bhi apna mobile charge kare flight mode me karke charge kare. isse aapka ka mobile jaldi charge ho, 
Agar aapka mobile 3 ghante charge hota hai to wo 1.5 ghante me hi charge ho jayega.    





I hope aap ko is post se bhuat fhayeda hoga. agar koi problam hai to comment karke bataiye. mujhe aapki help karne me khushi hogi. 




Ise bhi padhe:


Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
Zesoft
admin
March 27, 2019 at 1:27 AM ×

I read your article its very interesting information aboutAndroid Application service

Congrats bro Zesoft you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon