chori ho gaye phone ka pata kaise kare, find my phone



Hello friends,
Agar aapka Android smartphone bhul gaya hai ya chori ho gaya hai to use kaise dhundhe. Aaj ke bhag dodh ki jindagi me time ki bhuat kami hai. har aadmi jaldi me hota hai. itna jaldi me hota hai ki use acha bura kuch khayal hi nahi rehta hai. yese me agar aapka smart phone kahi gir jaye ya bhul jaye ya phir chori ho jaye to aap kya karege. ji ha dosto hum aapko isi ke bare me batane wale hai. jisse aapka aapka phone aasani se mil jayega. aapka mobile phone pata lagane me google humari maddat karega. 




























Aap to jante hi honge android google ka hi part hai. isliye hum google ki maddat se khoya huya mobile ko search kar sakte hai. aap apne mobile par ring bhi baja sakte hai. jo non stop 5  minutes tak bajata hi rahega. aap isse apne mobile ka current location bhi track kar sakte hai. lekin in sab liye aapke mobile me kuch function ka on jaruri hai. jaise - 

1 - Aapke mobile ka location on hona chahiye. 

2 - Aapke mobile me internet data ya wifi on hona chahiye. 

3 - Aapke mobile me google ka latest version application install hona bhuat jaruri hai.


Agar aapke mobile me ye 3 cheez hai to aap tension mat lo aapka phone jarur mil jayega.



Smartphone ko virus attack se kaise bachaye.
how to hide media files on your android phone.


Chori ho gaye phone ka pata computer se kaise lagaye. Step by step



Aapko apne smart phone ko track karne ke liye computer ya laptop ki jarurat padati hai. agar aapke paas computer nahi hai to aap kisi dusre ke computer se bhi apne mobile phone ko track kar sakte hai. to chaliye aapko step by  step batate hai. 


1 - sabse pahle computer ke browser ko open kare. uske baad Google ke url box me jaye or (Www.google.com/android/devicemanager)  type karke search kare.

2 - ab aap gmail id se login kare. dhayan rahe yaha par aapko wahi email id use karna hai jo aapke phone me login hai. 

3 - email id login hone ke baad google aapke phone ka exact loaction track karne lagega. 






















1 - yaha aapke mobile ka model numbar show hone lagega. saath hi saath agar aapka mobile koi dusra aadmi use kar rha hai to model number ke niche last seen show hoga.


2 - yaha aapke phone ka battrey level bata raha hai.   

3 - agar aapka mobile kisi wifi se connected hai to yaha show hoga.  
4 - ab aap yaha se apne mobile ko ring kar sakte hai. agar ka mobile sielent mode me bhi hoga tab bhi non stop ring 5 minutes tak bajate rahega.

5 - Enable lock & Erase = 

Enable lock se aap apne phone ka password change kar sakte hai.  aur Erase se  aap apne phone ko format kar sakte hai. dhayan rahe agar aapka phone chori ho gaya hai aur is ka milna possibal nahi hai tabhi is option ka use kare.  




Offline hindi se english ka translate kaise kare. 



Chori ho gaye mobile ka pata Android phono se kaise lagaye. Step by step

aap apne chori ho gaye phone ko kisi dusre phone me ek application download karke pata laga sakte hai. is app ka naam Find my devic hai. is app ki maddat aap apne phone ka location pata kar sakte hai. aur saath isse apne phone ko format bhi kar sakte hai. taaki koi chor aapke data ka miss use na kar sake.aap ise google play store se download kar sakte hai. chaliye aapko step by step batate hai.  




1 - sabse pahle aap find my phone app ko kisi dusre phone me download install kar le, download karne ke liye yaha click kare.

2 - Find my devic app download karne ke baad ise install kare. 

3 - ab aap apne gmail account me login kare. wahi email id se jo aapke chori ho gaye phone me login hai 

4 - ab aap apne phone ko find my devic type karke search kare. 

5 - agar aapke phone ka location on hoga to aapke phone ka location yha show hoga. 

6 - agar aapke phone ka location on nahi hai to aap lacation ka pata nahi laga sakte hai. lekin niche diye option ke maddat se aap apne phone ka miss use hone se bacha sakte hai.

# - Ring ke option se aap apne phone ko ring kar sakte hai, 
# -  lock ke option se aap koi dusra password daal kar phone ko lock kar sakte hai. 
# - Erase ke option se aap apne phone ko format bhi kar sakte hai. 


Note - lock aur erase ka use karne se pahle aap clearly pata kare. ki aapka phone chori ho gaya hai ya kho gaya hai. kahi yesa na ho ki aapka phone aapke aas paas hi ho aur aapne apne phone ko lock aur erase kar diya. 







I hope aapko ye post pasand aaya hoga. agar aapko is post se releted kuch puchana hai to comment karke puch sakte ho. mujhe aapki maddat karne me khusi hogi. is post ko share karne na bhule kya pata aapke share karne se kisi ka khoya hua phone mil jaye.  
Thank you..



Ise bhi padhe: 





Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon