Hello friends,
Jab aap koi smartphone new kharid kar late hai aur usko use karte hai to wo bhuat acha se chalta ya work karta hai. Magar wahi phone kuch Mahine chalane ke baad slow ho jata hai. Aur hang karne lagta hai. Aap sochate honge aakhir kyu yesa hota hai. iske baad to aap is presani se bachane ke antivirus, ram boosters ko download aur install karne lagte hai. lekin in sabse bhi aapko koi fhayeda hota hai. aakhir me presaan hokar aapko apne phone ko format karna padata hai.
dosto aapko presaan hone ki jarurat nahi hai. aaj hum isi ke bare me kuch yese tricks batane wale hai. jinko follow karke aap apne mobile ke hanging problam ko dur kar sakte hai.
Mobile hang kyu hota hai.
mobile hang hone ka sabse bada karan aapke phone ka intarnal memory aur Ram hota hai. isliye aap aapne internal memory humesa khali rakhe. aur kam se kam apps apne mobile me install kare. agar aapko jada apps rakhane ki jarurat hai to aap jada internal memory aur ram wala phone kharide. New phone kharidne se pehle 10 baato ka rakhe dhayan.agar aap ek acha phone kharidne ke liye ye post jarur padhe.
Mobile hang hone se kaise roke.
1 - Antivirus du battery saver ram booster yese apps agar aapke phone me hai to aap Ise turant uninstall kar de. Kyuki inse aapko koi bhi fhayeda hone wala nahi hai. Ulta aapko isse nukasan hi nukasan hai. Ye apps 24 hours aapko phone me chalta rehta hai. Jisse aapka phone slow kaam karne lagta hai.
2 - Aap apne smartphone me Jitna apps install kat ke rakhoge. Utna hi ram par load padega. Isliye aap apne phone me sirf kaam ke hi apps rakhe. Aur Jin apps ko aap used nahi karte hai. Behtar hai aap un apps ko uninstall kar de.
3 - Agar aapke phone ka internal memory Kam hai to aap jada apps ko install na kare. Aur saath hi saath apne kuch apps ko external memory me move kar de. Yesa karne se phone ki internal memory ka space jada ho jayega.
4 - Aap jab browser par kuch bhi search karte hai. to aapka browser un sab data ko save kar leta hai. Isliye aapko Time to time browser ka cache, cookies aur browsing history clean karte rehna chahiye.
5 - Aapke phone me bhuat se Yese apps jo hume phone ke company ke taraf se milta hai. Lekin Iska koi fhayeda nahi hota hai. Kyuki aap Ise use bhi nahi karte hai aur na hi ye uninstall Hote hai. isliye aap yese apps ko apne phone ke setting me jake Ise force stop kar de.
6 - Agar aapka phone bhuat jada hang kar raha hai. Aur diya tips ko follow karke baad bhi koi fhayeda nahi hua hai to aap apne phone ko ek baar hard kar de. Humne isse pahle post me Apne phone ka hard reset kaise kare. ke bare detail me bataya hai. Aap is post ko padh kar aasani se apne phone ko format kar sakte hai.
Mai Umeed karta ho ki Aapko ye post pashand aaya hoga. agar aapko kuch puchana hai to comments karke puch sakte hai. Aur is post ko share karna mat bhule.
thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon