New phone kharidne se pehle 10 baato ka rakhe dhayan

hello friends,
Aaj ke time me hum sab ka pahla choise Android phones hai. aur hona bhi chahiye kyuki android phones kam budget me mil jata hai. waise to bhuat se brands ke phone market me available hai. isliye aaj market me competition badh gaya hai. jisse hume apne pashand ka phone chunne ka aajadi mil jata hai. lekin phir bhi bhuat se log confuse ho jate hai, aur dusre logo se puchate hai ki kon se phone acha hai. dosto isliye aaj hum aapko isi se releted kuch baat batane wale hai. jisse aapko new phone lene me aasani hogi. to chaliye aapko details me batate hai. 












 





New phone buy karne se pahle kin kin baato ka dhayan rakhe. 


1 - Budget 

sabse pahle aap ye decide kar le ki aapko kis price tak ka phone buy karna hai. kyuki jinta jada paisa lagayege utna acha aapko phone milega. agar aapko normal use ke liye lena chahate hai to 5000 se 10000 hajar tak phone aa jayega. 10000 se 20000 hajar bich me aapko ache feature wala phone mil jayega. waise to market me 50000 hajar se upar tak ka phone avialable hai. 



2 - Latest models 

smart phone buy karte time sabse pahle latest modal jarur check karle. kyuki sabhi companies new model ke phone kuch new features jodati hai. jisse aapko new mobile me kuch new features mil jata hai. isliye aap humesa latest models ke mobiles hi buy kare.  



3 - Service center  

Aap koi se bhi brand buy kare, lekin buy karne se pahle us brand ka service center ke bare me jarur pata kar le. Agar service center aapke aas pas hai to aapke phone me koi problam hone par aap waha sahi kara sakte hai.


4 - Screen & Display  

aaj ke time me smart phones me bade bade screen aa rhe hai. lekin normal me 5 inch ka screen aur screen regulation 720 se 1280 tak ka hota acha hota hai, aapke liye Gorilla glass protect screen bhi ek acha option hai. baaki aapke pashand ke upar depend karte hai. ki aap kitna bade screen ko ache carry kar sakte hai. 





5 - Processor & core

Smart phone ki quality uske performance par depend karta hai. aur performance tabhi acha hota hai jab phone ka processor acha ho. Quad core processor se kam ka koi processsor na octa core processor bhi acha work karta hai to aap use ek acha phone keh sakte hai.






6 - Battery


smart phones me battery ka problam jada hota hai, isliye kam  se kam 2500 mah ka battery hona chahiye. agar aap isse jada ka lete hai to aur bhi acha hai. waise 3000mah se 4000mah ki battery wale phones market me bhuat se avilable hai. Aapko jo acha lage wahi buy kar sakte hai.  




7 - Ram 


SmartPhone ke ache performance  ke liye ek ache processor  ke saath  jada se jada ram  ki jarurat  hoti hai. Aap apne phone ke liye Kam se Kam 1.5 mb ka ram hona chahiye. Aapke apne phone ke liye 2 mb, 3 mb tak bhi ram le sakte hai. Jitna jada ram hoga aapke phone ka performance  Aur acha hoga.




8 - Version


Phone buy karne se pahle  phone ka version  jarur dekh le. Abhi ke time me 5.1 lollipop aur 6.0 Marsh mallow version  ke phone jada chal rhe hai. Abhi ka sabse  latest version  7.0 nougat hai.




9 - Storege


Storege  humare phone  ka important  part  hai. Iska aapko khaas  dhayan  rakhna chahiye.  Aap Jitna  jada Storege wala phone lenge  utha  acha aapke liye hoga. Isliye  aap Kam se Kam 16 gb se 32 gb tak ka Storege  to hona jaruri  hai. Abhi ke latest  phones  me 64 gb tak ka Storege  aa rha hai.



10 - Camera

Abhi ke time me jadatar log camera ke liye phone le rahe  hai. Kuch log to sirf mega pixel  par dhayan  dete  hai, camera ke features  par dhayan  nahi dete hai. Mai suggest  krunga aap  kisi phone ke camera  ke feature jarur dekh le. Jaise - Auto HDR, Face detection, Touch focus, Gea  tagging, Panorama, ko jarur check  kar le chahiye. 




Bonus tip

Agar ko koi phone  pasand  aa gaya to aap use kisi  dusre brand ke phone se tulna  jarur kare. yesa karne se aap ek acha phone ka chun sakte hai, aur saath hi saath aapke paisa ki bachat hoga.  


I hope aap is post ko read karke ek acha smart phone karide sakte hai. agar aapko is releted kuch puchana hai to niche comment box me comment karke puch sakte hai.
Is post ko apne dosto ya facebook par share karna mat buliye.
Thank you... 




Ise bhi padhe: 













Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon