Smartphone ko virus attack se bachane ke liye 5 best tips


hello friends, 
Aaj kal android smart phone ka use sabhi kar rhe hai. android ka opreting system bhuat esay aur smart hai. lekin smart hone ye matlab nahi hai ki is system me virus kabhi ho hi attack nahi sakta. agar aap is confusen me hain to please isse bahar aaiye. android system main virus aane se roka nahi ja sakta. ha lekin aap iska bachao jarur kar sakte hai. isiliye aaj hum aapko isi reletad kuch baate batane wale hai. jisse aap apne smart phone ko virus se bacha sakte hai. aaiye sabse hum virus ke bare me jaan lete hai.  



virus kya hai
























Virus kya hota hai?
  
Virus ek yesa program hai jo bina aapki marji se aapke mobile ke hard memory me aa jata hai. aur iske baad aapke smart phone ko cropt kar deta hai. ye aapke pdf file aur bhi jaruri documents ko bhi infected kar deta hai, jisse wo files open nahi ho pati hai. itna hi nahi kuch virus to apne malik ke bhuat bafadaar hote hai. jo aapke jaruri files apne janam data ke paas pahuca dete hai. confuse mat hoaiye virus ka janam data hacker hota hai. ek baat ka dhayan rakhiye virus humesa aapke parsonal files ya data hi churata hai. jaise - 

1 - Aapka username aur passwords  
2 - Credit card details
3 - Important document files
4 - Aapka parsonal pictures and videos

Ab to aap jaan hi gaye honge ki virus kya hota hai. to chaliye jaan lete virus se bachane ka tarika kya hai.





virus se bachane ka 5 best tarika









 




# - Apne Android phone ko kaise secure kare.

# - Android phone ka hard reset karne 3 best tarika


Apne phone ko virus attack se kaise bachaye.

Aapke phone ko virus attack se bachane ke liye 5 useful batane wale hai. please aap isko dhayan se padhe.  



1 - virus sccener ko download na kare. 


Aapne google play store me bhuat se antivirus apps dekhe hoge, aur aapne unko use bhi kiya hoga. lekin kya ye apps sahi se kaam karta hai. nahi, ye apps bas hum user ko bewkuf banata hai. aap isi baar se andaja laga ligiye ki har ek gante me ram full ho jane ka notifiction deta rehta hai. aur to aur na jane kaha se duniya bhar ka jung file dhundh ke baad aapse scan karne ke liye kehata hai. jab aap apna phone scan karte hai to ye app malwear hone ka notifiction deta hai. phir use malwear virus ko kud hi fix kar deta hai hai. jisse aapko pura bharosa ho jaye ki ye aap acha kaam karta hai. mai aapko suggest karta ho ki aap is appko ko download na kare, agar download kiya hua hai to ise uninstell kar de.






2 - official app store ka use kare.

Android user ko humesa google play store se hi applications download karna chahiye. waise hi iphone user ko bhi apple store se apps download karna chahiye. kyuki bahari applications me malwear hona ka jayada chanse hota hai. isliye 3rd party apps ko apne phone me bilkul bhi instell na kare. 





3 -  safe browsing kare. 

Abhi ke time me hum sabhi intenet me kuch na kuch search karte rehta hai. internet me bhuat se sites ads ke saath me malwear hote hai. agar aapne ise galati se click kar diya to wo malwear aapke phone me instell ho jayega. isse bachane ke liye aap humesa apne phone ka unknown sources off kar ke rakhe. unknown sources off karnee se aap safe browsing kar sakte hai. 





4 - finger print lock ka use kare.

Android phone ya iphone me koi bhi security apps download na kare. kyuki isme pahle se hi pre-installed security softwear hota hai. jo aapke phone ko secure rakhata hai. behatar hoga aap apne phone me finger print lock scanner ka use kare. finger print scanner ke bhuat se apps google play store me free mil jayege. jab aap apna phone lock rakhege tabhi to aapki parsonal jankariya safe rahegi.                                                                  






5 - media files 


Aapke phone me virus aane ek bada karan media files ka downloading aur sharing bhi hai. aap bina soche samje kisi anjane bhi phone ya laptop se media files share na kare. dhayan rahe aaj kal media files bhi virus infected hote hai, jisse aapko bachane ki jarurat hai. humesa sharing kisi apne ya dosto ke saath kare. 








I hope aapko ye post pashand aaya hoga. agar aapko isse releted kuch puchana hai to comment karke puch sakte hai. is post ko share karna mat bhule.  Thank you.  




Ise bhi padhe:








Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
Anonymous
admin
October 15, 2017 at 4:20 PM ×

Awesome blog! Is your theme custom made or did you download it from somewhere?
A design like yours with a few simple adjustements
would really make my blog shine. Please let me know where you got your theme.
Cheers

Congrats bro Anonymous you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon