Laptop se wi-fi hotspot kaise banate hai, 3 best free softwears

laptop aur smart phones ka importents ka pata tabhi hota hai. jab isme intenet connection hota hai. bina internet connection ke is me kuch khaas nahi kar sakte. wahi agar aapke laptop me wire internet connection hai to aap hotspot ki maddat se app apna smart phone aur family member ke phone me internet ke istemaal kar sakte hai. kyuki lag bhag sabhi laptop me wireless hotspot banaya ja sakta hai. agar aapke pass bhi laptop me wire connection hai aap bhi hotspot bana sakte hai. isliye aaj mai aapko laptop se wireless hotspot banane ke liye 3 ache softwears batane wale hai. aap inme se koi ek softear ko apne laptop me install karke hotspot bana sakte hai.

Laptop or destop me wireless hotspot kaise banaye.
laptop me wireless hotspot banane ke liye mai yaha par 3 best softwear ke bare me bata raha ho. aap in 3 me kisi ko bhi apne laptop me install kar ke hotspot ka use kar sakte hai. ye 3 softwear aap internet se free me download kar sakte hai hai.
1 - Virtual Router 2 - mhotspot     3 -  Connectify  


1 - Virtual Router
Virtual Router window 7 aur 8 istemaal karne walo ke liye ek acha softwear hai. is softwear ki maddat se aap apne laptop  me aasani se wireless hotspot bana kar apne sabhi devics ko connect kar sakte hai. aap is softwear ko apne laptop me install karne ke baad apna username aur password set kar le. aur WPA2  sabse secure wireless encryption istemaal kare. isse aapka wi-fi hotspot koi dusra aadmi chori nahi kar payega.



2 - mhotspot
wireless hotspot banane ke liye mhotspot bhuat hi acha softwear hai. iska sabse acha baat yeh hai ki ye sabhi windows me kaam karta hai aur ye Lan, 3G, 4G sabhi tarah ke ke internet connections ko sharing karta hai. aap apne laptop me mhotspot install karke 10 devic ke saath apna wireless hotspot share kar sakte hai. is softwear me aap WPA2 ka security laga sakte hai. taaki koi dusra aadmi aapke hotspot ka password chura na sake.

DOWNLOAD


3 -  Connectify
wi-fi hotspot banane ke liye connectify bhuat acha softwear hai. is softwear se apne laptop ya pc ko aasani se wi-fi hotspot me badal sakte hai. aap apne wired connection ko is softwear ke maddat se wifi me badal kar apne sabhi devics se connect kar sakte hai. is softwear ko apne laptop me install karne ke baad apna username aur password set kar de. aur iska security WPA2PSK set kar de. isse aapka wifi koi dusra aadmi nahi use kar payega.









Upar bataye huye sabhi softwear bhuat hi acha work karte hai. maine in softwears ka download karne ke liye link diya huya hai. aap in link par click karke ye softwears aasani se download kar sakte hai.



humare in posts ko bhi jarur padhe:

Is blog ka new post apne mail me pane ke liye is blog ko subscribe jarur kare. agar aapko kuch puchana hai to comment kar ke puch sakte hai.






Ise bhi padhe:







thank you for comment