Gmail se photos aur jaruri docoments kaise bheje. Email send kaise kare.


Aaj ke dijitel duniya me email ka bhuat jada istemal hone laga hai. kyuki email me hum texts ke saath - saath  
photos, videos, softwears aur jaruri docoment aasani se bhej sakte hai. email bhejne ke liye sabse jada istemal gmai, yahoo, aur hotmail ka  kiya jata hai. lekin inme se sabse populor email id gmail ka hai. mai aapko suggest kyuga ki aap gmail ka hi account banye. kyuki aaj bhi bhuat se logo ko email me file attach karne ke bare me malum nahi hai. isliye aaj mai gmail se photos, resume, aur docoments bhejne ke bare me batane wala ho.





Agar aapke paas email account nahi hai to pahle aap ise bana le. maine pahle iske liye ek post gmail par email account kaise banaye ke bare me likha hua hai. aap is post ko padhkar email account aasani se bana sakte hai.

Email me photos, files attach kaise kare.


Agar aapke paas email account hai ya aapne bana liya hai. to aap sabse pahle apne gmail account me login kare. Ab niche diye huye steps ko follow kare.
Step 1
Gmail ke account me login hone ke baad compose ke button par click kare.



Step 2
Compose par click karne ke baad ek pop up window open ho jayega. niche diye huye picture ko dekhe.




1 - Aap jisko email bhejna chahate hai. yaha par aap uska email address likhe.
2 - Aapka email kis subject ka hai. wo sabject yaha par likhe.
3 - Apna massage yaha par likhe.
4 - Insert photospar click karke aap apna photos aur images bhej sakte hai.
5 - Insert file par click karke aap apna koi bhi files attach kar sakte hai. jaise - resume, pdf files, ya koi sa bhi docoment bhej sakte hai.
6 - Ab aap send ke button par click karke apne email ko bhej sakte hai.


Ab aapka email send ho gaya hai. bas kuch minutes me aapka mail jisko bheja usko mil jayega. magar kya aap jante hai ki ek acha email kaise likha jaye. agar nahi jante hai to aap humare ye post Ek acha email bhejne ke liye 5 jaruri tips jarur padhe.



mujhe umeed hai aap is post ki maddat se gmail par photos aur attach files bhejana sikh gaye honge.



Ise bhi Padhe:

kisi bhi login id ka password secure hai ya nahi kaise pata kare.



Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon