Ek acha Email likhne ke liye 5 jaruri tips in hindi


Aaj ke digitel duniya me bhuat kam hi log honge jo latter likhate aur bhejate hai. Kyu ki latter ka jagah aaj email ne le liya hai. Lena bhi chahiye kyuki latter kam time mail milne wale ke pass pahuch jata hai. Aaj time me lakho email 1 din bheje aur resive kiya jata hai. Isliye aaj email humare life jarurat ki ban gaya hai. Waise to Email ka use lag bhag har jagah par hota hai . lekin iska sabse jada use official work me kiya jata hai. email likhane ka ka alag tarika hota hai. Aap agar sirf ( hi , hello ) likhkar bhi send karege to use bhi mail hi kahege.  Isiliye Aap jitne acha ho sake utna hi ache format me email likha kare. Isse email resive karne wale ki nazar me aapka ek alag image ban jayaga.














Email likhane me kuch galatiya ho jati hai. Isliye in galatiyo ko sudharne ke liye aaj hum aapko kuch tip dene wale hai. In tips ko follow karke aap ache tarah se email likhana jaan jayege.


Ek acha mail kaise likhe.

Ek acha mail likhane ke liye niche diye 5 tips ko follow kare. Yaha maine mail start se leke finish hone tak sabhi baate batai hai. Aap in 5 tips ko follow karke ek acha mail likh sakte hai.

1 - Mail likhana kaise start kare.
Mail ke start karte time respected words use jarur kare. Jaise - Salam, Hi, Namaste, Hello, good morning, good evening, agar aap apne kisi jannane wale ko mail kar rahe hai to in words use be jhijhak kar sakte ho. Magar aap agar kisi office ya job ke liye mail kar rahe hai to aapko Dear sir ya  Dear madam ka use kare.


2 - Subject ka colum khali na rakhe.
Mail likhate time humesa subject jarur likhe taki mail resive karne wale ko malum ho jaye. Ki aapka mail kis subject se hai. Maine kai baar dekha hai, jis mail me subject nahi hota hai use open nahi kiya jata hai. Isliye humesa subject jarur likhe taki resive karne wale ko malum ho jaye.


3 - Mail likhane ke baad jarur check kare.
Humesa mail likhane ke baad use ek baar jarur check kare. Isse aap apne mail ki gayi galtiyo ko sudhar sakte hai. Aapke mail me bhuat jada galiya hone ke wajah se kai baar aapka mail accept nahi kiya jate hai.  Isse aapki image mail resiver ke samne kharab ho jayegi.


4 - Capital latter me mail na likhe.
Kabhi bhi pura mail capital latter me na likhe capital latter sirf use mail start karte time ya phir koi importents word me karna chahiye. Kyuki sirf capital latter me likha huya word dekhane me hi acha nahi lagta, Use padhna to bhuat dur ki baat hai.

5 - Mail finish kaise kare.
Jaise aapne mail start karte time respected words ka use kiya tha waise mail khatam karte time bhi karna hai. Agar aap yeh mail kisi apne ya dost ko bhej rahe hai to aap take care, best of luck, have a nice day use kar sakte hai. Agar yah mail kisi office job ke liye kar rahe hai to Aap apna pura massage likhane ke baad sabse niche me your sincerely, best Regads, ya Regards likh de. Inme se sabse jada use best regards hota, aur best regards ke baad apna pura naam jarur likhe,

Ise bhi padhe:

kisi bhi login id ka password secure hai ya nahi kaise pata kare.



Mujhe ummed hai aap ye article padh kar ek acha mail likhana sikh gaye honge. Agar post kaisa laga comment karke jarur bataye. Aur is post ko apne dosto ya social media par share karna na bhule.


Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon