kisi bhi login id ka password secure hai ya nahi kaise pata kare.


Hum sabhi Internet par account create  karte  time alag alag password  ka use karte hai chahe Wo email, Facebook, twitter  ya Internet  ka koi dusra sites ho. Waise to aap sabhi apne account  me strong password hi dalate hai. Lekin kya aap janate hai ki aapke account  ka password  kitna strong  hai. Kya kisi  hacker  ne abhi tak ise hack nahi kiya hai. Agar  aapka account ka password   secure nahi hai to ye hack ho sakta hai.

Isiliye aaj hum aapko ek yese site  ke bare me batane wale hai. Jaha aap apne account ke password ko check karke Ise hack  hone se bacha sakte hai.





Apna password kaise secure kare.


Apne password me apna naam, date of birth, mobile number etc ka use na kare.
Password banate time 123456 yese simple word ka use na kare.
Strong password banane ke liye humesa captial letters, small letters, numbers, ya sambales use kare.
Apna password kisi ke saath share na kare.
Aap apne her login id me ek hi password ka use na kare. har id ke liye alag - alag password banaye.
Aap apna password har 3 se 6 mahine ke ander change kare rahe




Apne account ka password kaise check kare.

Aap is site ki maddat se apne account ka password secure hai ya nahi aasani se jaan sakte hai. Agar kisi hacker ne aapka account pahle kabhi hack bhi kiya hoga to aapko wo bhi yaha par malum  ho jayega. Mai yaha aapko apne 2 account ke password check karke bataunga. Is website par jane ke liye sabse pahle yaha click kare.


Password No - 1
1 - is website par jane ke baad sabse pahle password par click kare.
2 - isme aap apne account ka password daale.
3 - password dalne ke baad pwned? Ke button par click kare.
4 - Pwned par click karne ke baad niche ek message show hoga. Jis par likha hoga Good news - no pwnage found yani aapka password secure hai.Good news — no pwnage found!






Password No - 2
1 - Sabse pahle password par click kare.
2 - yaha apna password fill kare.
3 - password daalne ke baad pwned ke button par click kare.
4 - pwned par click karne ke baad ek massage show hoga. Jis par likha hoga oh no - pwned yani aapke account ka password secure nahi hai. Aap ise jaldi change kare. Nahi to ye account hack ho jayega.







Is tarah se aap apne sabhi accounts ke password ko bhuat hi aasani se check kar sakte hai.

I hope aapko ye post pasand aaya hoga. agar aapko password check karne koi problam ho rhe hai. to comment karke jarur bataye. aur is post ko share jarur kare.


Ise bhi padhe:
Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon