10 most useful chrome extensions of 2017, full guide hindi me


Google chrome browser duniya ka sabse jada istemal hone wala browser hai. ho bhi kyu na is browser se internet par browsing karne me bhuat aasan hota hai. laptop ya destop istemal karne wale chrome browser ko sabse jada pashand karte hai. iska wajah chrome browser ka ek features hai. jise extension kaha jata hai. yahi feature chrome browser ko dusre browser se alag pehchan deta hai.ab aap soch rahe honge ki ye extension kya hai? chrome browser me iska kaise use kare. maine isse pahle ek post me iske bare me bataya hai. aap is post ko padhkar google chrome extension add karna sikh jayege.










Chrome browser ke 10 useful extensions

Aaj mai aapko google chrome browser ke 10 best extension ke bare me batane wala ho. jo aapke liye bhuat kaam aa sakte hai. isliye aap is article ko pura jarur padhe.


1 - Alexa  traffic rank



Alexa chrome browser ka ek free extension hai. jo aapko alexa traffic panel me samil karta hai. jab aap internet par sarfing karte hai to alexa extension ke saath rehta hai. aap kisi bhi website jake bas alexa ke extension par ek click kar dene se ye aapko us website ka global rank, country rank, similer link, site link, website loading time etc. turant bata deta hai. agar aapko kisi website ke bare me details me janna hai. to bhi ye extension aapki maddat karega.




2 - StumbleUpon




StumbleUpon photos, videos aur articles ke liye ek bhuat acha website hai. yaha aapko apna Interests ka list me save karna padata hai. agar aap kuch naya sikhana pashand karte hai to ye website aapke liye bhuat hi Helpful hai. kyuki stumble upon ke website par 200 millions se jada web pages ragitered hai. jisse aapko every day kuch na kuch naya idea milata rahta hai. blog ya website par kaam karne wale bhi apna website stumble upon add karke yaha se backlink aasani se bana sakte hai.






3 - Pinterest



Pinterest ek famous social networking site hai. ye website photos share karne ke liye 2010 me banaya gaya tha. ye website aajke time me bhuat popular ho gaya hai. is website ke 100 million se jada logo ne ragister kar liya hai. aap pinterest ki website par bhuat kuch naya sikh sakte hai. aur saath saath apna knowlaege bhi kar sakte hai. aap yaha par  kisi product, own business, blog ya website ko promote aasani se kar sakte hai. pinterest ke extension ki maddatse aap koi sa pictures ya phote apne pinterest account me turant save aur share kar sakte hai.





4 - Lightshot











Lightsot kisi bhi websites se screenshot lene ke liye ek acha tool hai. lightshot extension bhuat hi chota sa extention hai, isiliye ye bas ek click karne par hi  screenshot bhuat fast le leta hai. screenshot aur bhuat se features hai. jaise - screenshot le sakte hai, screenshot par text likh sakte hai, page ke kisi bhi hise ko chun sakte hai, screen shot ko apne system me save kar sakte hai, screenshot ko online share bhi kar sakte hai. ye aapke liye bhuat hi acha extension hai. specialy blog ya websites par kaam karne walo ke liye ek acha tool hai.




5 - Awesome Screenshot




Awesome  screenshot online kisi bhi website  ka screenshot lene ke liye  ek acha tool hai. Awesome screenshot  se kisi websites  ka screenshot  lene baad  us par aap arrow ka nissan aur text  likh  etc aasani kar sakte  hai. Awesome  screenshot  extension  ek aur feature hai. Jisse aap online kisi bhi website ka 30 sec tak ka screen  recoding  kar sakte hai. Agar aap isse jada time ka record  karna chahate  hai to aapko awesome  screenshot  ka pro version  buy karna padega





6 - Turn Off the Lights












Agar aap online movies ya koi bhi video dekhane ke sokin hai to turn off the light extension aapke liye hai. turn off the light extension se bas ek click karne par aapke destop ya laptop ka screen video chod ke sabhi black ho jayega. yani screen par koi ads ya releted video dikhai nahi dega. ye extension  YouTube, Vimeo, Daliymosion, Hulu, Metcaf, UKU etc.jaise sites par kaam karta hai.




                                                    
7 - Lass pass  



Lass pass chrome browser ka ek bhuat hi acha extension hai. Is extension ko add karne ke baad aapko online me kisi website par baar - baar password Dalne ki jarurat nahi hai. bas aapko lastpass ka login password yaad karke rakhana hai. baki sabhi login passwords ko ye aap jarurat ke hisab de deta hai. lasspass ko aap destop, laptop, tablet, phone me bhi use kar sakte hai. laptop aur destop ke liye apne browser me extention add kare. aur tablet aur phone ke liye iska lasspasska application download kare. Bhuat se log apna log in passwords bhul jate hai.Ye extension unke liye bhuat hi acha sabit hoga.





8 - Book mark manager



Kabhi - kabhi aapko online me kisi website ka koi contant bhuat pashand aa jata hai. lekin aapke pass us contant ko padhane ka time hota hai to aap us contant ko save karke rakhana chahate hai. taaki jab aapko time mile tab aap is contant ko padh sake. ye bookmark manager extension isi kaam ke liye banaya gaya hai. isme aap bhuat se websites ke content ko is bookmark manager ke extension me category by category save karke rakh sakte hai



9 - PanicButton



Panicbutton se chrome me open sabhi tab ko aasani se chupaya ja sakta hai. maan lijiye aap apne chrome browser kuch kaam kar rahe hai. tabhi koi aapke pehchan ka koi aadmi aa gaya aur us aadmi ko apna tab dikhana nahi chahte hai to panic button ke extension ki maddat aap apne tab ko chupa sakte hai. aapko apna tabs chupa ne ke liye bas ek click karna hai. aapka sabhi tabs turant chup jayega. aur jab aapko apne chupaye tabs ki jarurat ho to aap sirf F4 key daba kar use restore kar sakte hai.





10 - Search by image (by google)



Agar aapko online kisi website ya kisi social media par koi acha picture mil jata hai. aur aap us picture ke bare me janna chahate hai. to ye search by image ka extension aapke bhuat kaam aa sakte hai. is extension ko chrome browser me add karne ke baad aap online kisi bhi picture ka details aasani se jaan sakte hai. online kisi bhi picture ke bare me jankari le ne ke liye aapko us picture par right click karke search google with this image par click kar dena hai. search karne ke baad aapko us picture ka ka details aapko malum ho jayega.




Ise bhi jarur padhe:

Email account ko hack hone se kaise bachaye.

Ek acha Email likhne ke liye 5 jaruri tips

kisi bhi login id ka password secure hai ya nahi kaise pata kare.


Note - chrome browser jada extension ka use karne se browser ka speed slow ho jayega.  isliye kam se kam 5 ya 6 extensions ko add kare. isse aapke browser ka speed slow nahi hoga aur na hi hang karega.

I hope aapko chrome browser ke ye 10 most useful extensions pashand aaye honge. agar aapko pashand aaye hai to comment karke jarur bataye. aur is article ko share jarur kare.


Ise bhi padhe:

Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon