Umang application me indian goverment ki bhuat se services hai. jisme se ek service EPFO (Employees' Provident Fund Organisation) ka bhi hai. umang app aapko EPFO ka balance dekhane aur saath hi saath passbook ko download karne allow karta hai. EPFO ka passbook download karne ke liye sabse pahle aapko umang app download kar hai. jo ki Android, iphone aur window sabhi ke liye banya gaya hai.
Agar aapne abhi tak umang app ko download nahi kiya hai to aap ise download kar le aur is par apna account register kar le. umang app par apna account register kaise kare. iske bare me maine is post me bataya hai.
Agar aapne umang aap ko download aur is par apna account bana liya hai to aap apna EPFO ka passbook download karne ke liye niche diye huye steps ko follow kare.
Umang app se EPFO ka passbook kaise download kare.
Umang app se EPFO ka passbook download karne ke liye sabse pahle aap umang app me login ho jaye. Uske baad niche diye steps ko follow kare.
Step 1
Umang app me aapko EPFO ke icon par click karna hai.
Step 2
Is step me aapko sabse pahle option yani EPFO centric services par click karna hai.
Step 3
Yaha aapko View passbook par tap karna hai.
Step 4
Yaha aapko apna UAN Number likhkar login ke button par click karna hai.
Step 5
Login par click karne par aapke EPF account me jo mobile number registered hoga. Usi mobile number par ek OTP aayega. Aap us OTP ko khali box me likh kar ok ke button par click kar de.
Step 6
Ab aapka EPF account login ho gaya hai. Yaha aapko EPF ke account number par click karna hai. Jaisa ki niche diye huye picture me bataya gaya hai.
Step 7
EPF account number par click karne ke baad jo page open hoga. Yahi par aapko apne EPF account ka balance dikh jayega.
Agar aap apne EPF account ka passbook download karna chahate hai to aap is page scroll karke sabse niche jaye. Yaha appko ek download ka button milega. Is button click karke aap passbook ko format me download kar sakte hai.
I hope aap is post ki maddat se apne EPF account ka passbook download karna sikh gaye honge. Agar aapko ye post acha laga to aap ise apne dosto me jarur share kare.
In posts ko ek baar jarur padhe:
Umang app developed by indian government and provide all government e-digital services on one platform(UMANG APP)-How to use Umang app.
ReplyDelete