umang app ko download kaise kare, umang app par apna account register kare.

Umang india goverment ka bana huya ek mobile application hai. jisko india ke Prime Minister ne 23 nov ko lunch kiya hai. iska pura naam Unified Mobile Application for New-age Governance hai. is aaplication ko Ministry of Electronics and Information Technology (MeitY) aur National e-Governance Division (NeGD) dono ne milkar kar bana hai.


Umang application se center aur state goverments ki 1200 se jada services provide karne ki ummed hai. jinme se ye kuch services hai. jaise - Colleges, Pensan, Insurance, Insurance, Kissan Suvidha, Bharat Gas, Pradhan Mantra Kausal Vikas Yojana, Crop Insurance, Passport, Pradhan Mantra Awas Vikas Yojana, CBSE Result, Taxes ka bhugtan etc.


ye app india ke sabhi citizenas ke liye bhuat acha sabit hoga. Kyuki is app ko use karne baad aapko baar - baar goverment ke office ke chakar nahi lagane padege. is app ko use karne pahle aapko ise download karna hai aur uske baad aap is par apna account register karna hai. tab jakar aap is application ko use kar payege. to chaliye aapko umang app ko download aur is par account register karne ke bare me details me batate hai.


Umang app download kaise kare.
Umang app Android, window aur iphone in sabhi opreting system me download aur install kar sakte hai. niche in sabhi ka download link diya huya hai. Aap is link par click karke apne phone me umang app download kar sakte hai.

Umang official website par jane ke liye yaha click kare.




Iphone ke app download karne ke liye yaha click kare.





Umang app me account kaise ragister kare.
Umang app download karne baad aapko isme apna account register karna padega. kyuki bina account ragister kiye aap is app ka use nahi kar sakte hai. isliye mai aapko umang app par account ragister karne ke bare me step by step bata raha ho. aap in steps ko follow karke apna account ragister kar sakte hai.


Step 1
Apna langiage select kare. aur Arrow ke button par click kare.




Step 2
yaha aapko umang app ka terms aur conditions diya huya hai. aap is ko ek padh le aur padhane ke baad I Agree to all terms and conditions ke aage box par trik karke next ke button par click kar de.



Step 3
kyuki aap new user hai. isliye REGISTER ke option par click kare.




Register par click karne ke ye aapse loaction, phone aur sms ke liye permisions magega. aapko sabhi option allow kar dena hai.


Step 4
yaha aapko ragister karne ke liye 2 option milega. inme se aapko mobile number select karna hai.




Step 5
yaha aapko apna 10 digit ka mobile number dalkar arrow ke button par click karna hai.



Step 6
Arrow ke button par click karne ke baad aapke mobile par 6 digit ka ek OTP aayega. aapko us OTP numbers ko likh kar next ke botton par click karna hai.




Step 7           
Aapko apne account protect karne ke liye 4 digit ka MPIN set karna hai. jo aap apne hisab se kuch bhi set kar sakte hai. jaise - 1122, 7732, 9021, 6953, etc




Step 8
yaha aapko apne account kt liye 2 security questions select karke uska answer likh dena hai.



Step 9
Agar aap apna Aadhaar umang app se link nahi karna chahate hai to aap is option ko skip bhi kar sakte hai.
Agar karna chahate hai. to Aapko apna Aadhaar number likh kar right ka trik mark lagakar next ke button par click karna hai. aap chahe to isko skip bhi kar sakte hai




Step 10
Aadhaar number likhkar next ke button par click karne ke baad aap ek OTP aayega. aap us 6 digit OTP ko likh kar arrow ke button par click kar de. dhyan rahe ye usi mobile number aayega. jo mobile number aapke aadhaar card se link hoga.



Step 11
Agar nahi bharna chahate to skip par click kar de.
Agar aap apne profile me apni jankari bharkar SAVE & PROCED click kar de.




Step 12

SAVE & PROCED par click karne baad aapka account register ho gaya hai. aur saath hi saath umang profile bhi update ho gaya hai. ab aap simply ok ke button par click karke umang app start karna hai.




Umang app start hone ya aapko umang app use karne ke liye batayega. jaisa ki sabhi app me hota hai.


I hope aap is article ki maddat se umang app ko download aur is par account bana jaan gaye honge. agar aapko is article se kuch sikhane ko mila hai to aap ise facebook ya whatapp par apne dosto ke saath jaru share kare.




Ise bhi padhe:

Email account ko hack hone se kaise bachaye.

mobile hang hone se rokane ke liye 6 best tarike

kisi bhi login id ka password secure hai ya nahi kaise pata kare.

Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
Unknown
admin
November 29, 2017 at 11:37 PM ×

All Candidates can Umang App Download to take benefits of government digital application. Candidates can download Umang app to know all features.


Congrats bro Unknown you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon