Android Develorper option ke 20 hidden features ka kaise use kare,

hello friends,
aaj hum developer option ke kuch setting ke bare batane wala ho. maine isse pahle post me developer option kya hai, apne android phone me kaise enable kare. ke bare me details me bataya hai. agar aapne abhi tak developer option enable nahi kiya hai to aap is post ko padhkar aasani se enable kar sakte hai. 

developer option ko enable karne me aapka fhayeda hi fhayeda hai. is me diye huye kuch option ka setting karke apne phone ka performance bada sakte hai. saath hi saath apne battery ko save kar sakte aur bhi bhuat se features isme avialable hai. isliye aaj hum aapko developer option ka ache se use karna batane wale hai. iske liye aapko ye post pura padhana hoga.  




20 HIDDEN FEATURES OF ANDROID DEVELOPER OPTION






















Android Developer option ka setting kaise kare.

yaha maine Android developer option ke 20 settings ke bare bataya hai. in sab setting ko use karke aap apne phone ke performance ko badha sakte hai.
1 Destop Backup Password - is option par click karne per ek naya window open ho jayega. yaha aap apne phone ka back up password bana sakte hai. jisse aapke phone ka backup data safe rahega.

2 Stay Awake - Is option par click karne ke baad aap jab bhi apna mobile charge me lagayege to aapke mobile ka screen band nahi hoga. mera matlab mobile charging hote time aapke mobile ka screen band nahi hoga.
3 Process Stats - Is option par tap karne par ek naya page khul  jayega. Yaha aap apne phone ke background  me chalane wale apps ka details dekh sakte hai. Jaise konsa app kitne time se background me chal raha hai aur isne kitna ram use kiya hai etc.
4 USB Debugging - Is ke upar tap karne par ye aapse permission  magega. Aapko simply yes par click karke is option ko enable karna hai. ye aapke phone  ka bhuat  hi important  feature  hai. Aap isse bhuat  se kaam kar sakte  hai. Jaise - aapko aape phone ko laptop screen par chala sakte hai. android  device  ke backup  ko create  aur restore aur root karne ke liye kar sakte hai.
5 Allow Mock Location - Is ki maddat  se aap apne gps location  ko customize kar sakte  hai. yani aap apna fake location bana sakte hai. agar aap apne fake location banana chahate hai to google play store se fake gps naam ka app download karke bana sakte hai.
6 Show touches - Is ko enable karke aap apne phone ke screen ke touches ko dekh sakte hai. Aap apne  phone ke screen par jaha bhia touch karege waha par aapko dot ka Nissan dikhai dega.
7 Pointer Location - Is option ko enable karke aap apne mobile ke screen jaise - jaise touch ya scroll karne waise waise ek line bante jayega.
8 Show surphase update - Is option ko enable karne par aap apne phone me jab bhi sroll ya swipe karege to aapke phone ka pura screen pink colour ka ho jayega.
9 show layout boundaries - Is option ko enable karne par aapke mobile ke app icon ko mark kar deta hai. mera matlab hai aapka pura screen ek layout ki tarah ho jayega.
10 Force RTL Layout Direction - Is option ko enable karne par aapke Phone ki screen left se right  tarah ho jayega. I mean pehle aapka phone ke content left se suru ho kar right me khatam hota tha. Isko enable  karne ke baad aapka screen right se sure hoke left ke khatam hoga. Jaise ki Arabic ya urdu me hota hai.
11 window animation scale - Aap is par jaise hi click karege to ek window popup open ho jayega. yaha par aapko kuch animation scale mil jayege. iska use karke popup window ki animation speed kam aur jada kar sakte hai. window animation scale ke option ko off karke aap apne phone ki battery save kar sakte hai.
12 Transition Animation scale - Aap is par jaise hi click karege to ek popup window open ho jayega. iska use karke aap window ki transition animation speed ko kam ya jada kar sakte hai. is option off kar dene se aap apne phone battery ko save kar sakte hai.
13 Animator duration scale - is option par click karne ke baad ek popup window open ho jayega. aap is option ka use karke aap apne animation duration ko kam ya jada kar sakte hai. is option ka off karke aap apne phone ki battery ko bacha sakte hai.
14 Simulate Secondary Scale - is optoin par click karke aap apne mobile screen par ek aur chota sa screen bana sakte hai. philhaal yaha par none select hoga. aap apne hisab koi sa bhi option select kar sakte hai.
15 Force GPU Rendering - iska use kar ke aap graphic procesing unit ko badha sakte hai. isko enable karne se android phone ke games bhuat fast aur smmoth chalata hai.
16 Simulate colour space - is option ka use kar ke aap apne phone ka background colour change kar sakte hai. aap is option ki maddat se apne phone ki screen ko black and white ya blue and yellow kar sakte hai
17 Show CPU Usege - is option ke upar click karne ke baad aapne apne phone ke cpu ke process ko screen par dekha sakte hai.
18 Background Process Limit - is option par click karne par ek popup window open jayega. yaha aapko background process ke kuch option diye huye hai. aap is option ka use karke apne phone ke background process ko limit kar sakte hai.
19 Auto Brightness Option - is option par click karne ke baad ek dusra window open ho jayega. yaha aap apne phone ke brightness ko apne hisab se set kar sakte hai. aur saath hi saath apne phone ke sensor ka value ko bhi dekh sakte hai. ye feature lolipop se upar ke version me milta hai.
20 Show All ANRS - Is option ki maddat se Aap apne phone ke hang  hone wale apps ke bare me pata laga sakte hai. Aapke phone me jab bhi koi app  hang  ho to ye aapke screen  par (app ka naam) not  responding  ka notification dega.


mujhe umeed hai aapko ye post pasand aaya hoga. agar aapko developer option me setting karne me koi problams aa rahe hai to niche comment box me comment karke puch sakte hai. aur is post ko apne dosto me share karna mat bhule.





Ise bhi Padhe:




# - 75 useful fullform of science and technology

Previous
Next Post »

2 comments

Click here for comments
Anonymous
admin
September 24, 2017 at 1:57 AM ×

Thanks a bunch for sharing this with all folks you actually
know ԝһat you are speaking approⲭimately! Bookmarked.
Plrase additionally visit mу web site =). We coupd һave a link change agreement Ьetween ᥙs

Reply
avatar
Anonymous
admin
October 14, 2017 at 11:02 PM ×

It's a pity yοu don't һave a donate button! I'd wіthout
a doubt donate tⲟ thiѕ fantastic blog! Ӏ suppose foг now i'll settle for bookmarking аnd adding your RSS feed to mу Google
account. Ι look forward tо fresh updates аnd wilⅼ share this
blog wіth my Facebook group. Talk sߋ᧐n!

Reply
avatar

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon