Private browsing kya hai? Browser me private browsing kaise karte hai

Apne computer, tablet ya phone par sabhi log browsers ka istemal karte hai. aur online browsing bhi karte hai. kya aap jante browsing kitne parkar ka hota hai. agar aap nahi jante hai mai aapko batata ho. browsing do parkar ka hota hai. ek to browsing wo hai jo hum sabhi log kar hai. dusra browsing ko private brpwsing kahte hai. ab aap kahege ki private browsing se kya fhayeda hai. private browsing se kai fhayede hai. jaise - private browsing karne se aapka online activity ka history track nahi hota hai, agar aapapne computer ya mobile se browsing karte hai. aur bhuat se websites par har din visit karte hai. to ye sab aapke history me reecord ho jata hai. jisse aap baar  - baar clean bhi karte hai. wahi agar aap private browsing karte hai to aapka koi bhi activity browsing history me record nahi hota hai. jisse aap safe browsing kar sakte hai saath hi apne personal jankariyo ko leak hone se bacha sakte hai. isliye aaj mai aapko private browsing karne ke bare me batane wala ho.


Private browsing kya hai?

hum jab bhi internet par kuch search karte hai to hum kisi browser ka istemaal karte hai. bina browser ke online kuch bhi seach karna posibal nahi hai isliye jab bhi hum browser par kuch bhi search karte hai to humare sara browsing activity browser ke me save ho jata hai. jisse hume kuch weeks ke ander clean karna padta hai. wahi aap agar private browsing karte hai to aapka browsing activity browser save nahi karta hai. aur nahi ye browser ke history me save hota hai. isliye private browsing ko safe browsing bhi kaha jata hai.

browser me private browsing kaise karte hai.

Mai yaha aapko 2 ache browser me private browsing karne ke bare me batane wala ho.
1 - chrome browser
2 - mozila firefox

1 - Chrome browser me private browsing kaise kare.
chrome browser me private browsing karna bhuat hi aasan hai. chrome browser me aap shotcut key ke maddat se bhi private browser open kar sakte hai. private browser open karne ka shotcut key ( ctrl + shift + N ) hai aap dusre tarike se bhi private browser open kar sakte hai. niche diye picture ko follow kare.


1 - Sabse pahle chrome browser open kare. uske baad browser ke upar right side me 3 dots par tap kare.
2 - Dot par tap karne ke baad ek popup window open ho jayega. yaha aapko new incognito window par click karna hai.


New incognito window par click karne ke baad aapka private browser open ho jayega. ab aap apne chrome browser se safe browsing kar sakte hai.

2 - Mozilla firefox me private browsing kaise kare.
Mozilla firefox par private browsing 2 tarike se open kar sakte hai. sabse pahle aap shotcut key ke maddat se open kar sakte hai. iska shotcut key ( ctrl + shift + P ) hai. dusre tarike ke liye niche diye huye picture ko follow kare.


1 - Sabse pahle mizilla firefox browser ke upar right side me 3 lines ke upar click kare.
2 - Lines par click karne ke baad ek pop up window open hoga yaha aapko new private window par click karna hai.



New private window par click karne ke baad aapke browser ka private browser open ho jayega. ab aap apne mozilla firefox ke browser par safe browsing kar sakte hai.



Private browsing ka istemal kha karna chahiye.


1 - Kisi dusre ke computer par browsing karne ke liye humesa private browsing ka istemal karna chahiye.
2 - Online banking sarvies ka use karte time iska istemal karna chahiye.
3 - Agar aap cyber cafe me browsing kar rahe hai to aap private broswer ka istemal jarur kare. isse aapka koi jankari kabhi leak nahi hoga.
4 - Private browsing karne se aapka online account safe rehta hai.


humare in posts ko bhi padhe:



Ab to aap chrome aur mozilla firefox par safe browsing karna jaan gaye honga. yese aur bhi ache ache jankari apne mail ke inbox me pane ke liye is blog subscribe jarur kare.aapko ye post kaisa laga commant karke bataye.




Ise bhi padhe:
phone kharidne se pehle 10 baato ka rakhe dhayan.
mobile hang hone se rokane ke liye 6 best tarike.

Previous
Next Post »

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon