google tez app ko download aur activate kaise kare, full guide hindi me

Abhi ke time me money transfer bhuat hi aasan ho gaya hai. Iska sabse bada karan money transfer apps hai. Ji ha piche saal demonotizion ke time par kai aaps market me aaye. Jaise - paytm, Bhim Aapne in apps ko kub pashand aur istemaal kiya hai. Isi ko dakhate huye google ne bhi apna ek app 18 sep 2017 ko launch kiya hai. Jab world ki popular company ne ye app launch kiya hai to ye samjh lijiye iska features bhi bhuat khaas hoga. Is app ka naam google ne Tez rakha hai. Google tez app UPI based app hai. Yani ye full secure hai. Koi bhi chor ya hacker is me se aapka money chura nahi payega. Ye app android aur iphone dono me ke liye banaya gaya hai. To chaliye aapko isko download aur istemaal karne bare batate hai.



Tez app ke kuch features


1 - Tez sabse acha baat ye hai ki isme aapko apne account ke liye google ki security milega. Jisse aap bhuat se nuksaan se bach sakte hai.
2 - Is app me aap jo bhi tranjection karege, wo sidhe aapke bank accont se hoga. Agar aapka koi friend aapko paise bhejata hai to wo paisa sidhe aapke bank account add ho jayega.
3 - cash mode se aap apna personal infomation bina bataye. Is app se len den kar sakte hai.

4 - Ye app wallet app ke jaisa nahi hai. Isme aapko bank ke hisab se interest bhi milta hai.

5 - Ye app india me lunch huya hai. Isliye isme india ke saath lunguages diye huye hai. Fueture me google india ke aur bhi lunguages ko add kareg



Tez app ko dowmload aur install kaise kare.

Android aur iphone dono opreting system Tez app ko download aur install kar sakte hai. Niche dono os ke liye download link diya huya hai. Aap is link par click karke apne phone me Tez app download kar sakte hai.

Android - Agar aap android smartphone use karte hai, aur aapka android opreting system 4.4 se upar ka hai. To aap Tez – A new payments app by Google ko google play stora se download kar sakte hai.

iphone - Iphone ka use karne wale google tez app ko itune store se download kar sakte hai.

Tez app ko Activate kaise kare.

Tez app ko download karne baad isko open kare. Ab is app ko activate karne ke liye Niche diye huya steps ko follow kare.
1- Tez app intall hone ke isko open kare. Aur apna language select kare. Ye app india ke 6 langueges ko souport karta hai.


2 - Aapko apna mobile number inter karna hai. Dhayan rahe aapko yaha par wahi mobile number inter karna jo aapke bank account me ragister hai.


3 - phone number inter karne ke baad yaha aap apna koi sa email id select karke continue par click kar de.


4 - continue par click karne ke baad aapke phone me ek 6 dijit ka otp aayega. Yaha aapko simply otp number dalkar arrow ke mark par click karna hai.


5 - otp verify hone ke baad aapko apne tez ko secure karne ke liye 2 option milega. Yaha aapko create google pin ke option ko select karke continue par click karna hai.


6 - Continue par click karne ke baad next option me aapko apna google pin create karna hai. Aap yaha par apne hisab se koi bhi pin set kar sakte hai.



7 - google pin create karne ke baad next step me Add bank account ka option milega. Add bank account par click karne par aapko india ke sabhi banks ka list aa jayega. Yaha aapko apna bank select karke us par click karna hai.


8 - bank select karne ke baad next step me aapko apna sim select karna hai. Yani aapke bank me jo mobile number ragister hai. Us number wala sim ko select karna hai.



Sim select karne ke baad next step me ye aapke bank account find karne lagega. Finally tez app aapke bank account ko find kar lega. Ab aapko yaha par apna upi number pin par click karna hai.


Ab aapko yaha par apna upi pin number inter karke right ke button par click kare.


Right ke button par click karne ke baad aapka upi pin verify ho jayega. aur jaise hi upi pin verify hoga ye samjh lijiye aapka tez app ka account verify ho gaya.

Ab aap is app se money transfer kar sakte hai.

Ise bhi padhe:

google tez app ke offers
google tez app me kuch offer diye huya hai. agar aap apne dosto ko apna reffrel link share karte hai aur aapka dost aapke share kiye huye link se tez app ko download karta hai. to aapko 51 rupiya milega. ye ek money making aap ka bhi kaam karta hai. aap is app se bhi paisa kama sakte hai.




waise past me aapne kai mobile payments apps use kiya hai. ab google ne bhi apna tez app lunch kiya hai jo upi security based hai. aap is app ko bhi ek baar istemaal karke dekhe. mujhe yakin hai aapko tez app bhuat pashand aayega.



Ise bhi padhe:
Previous
Next Post »

4 comments

Click here for comments
Anonymous
admin
October 14, 2017 at 10:59 PM ×

I savor, lead to I discovered juѕt what I wаѕ
having a l᧐ok for. You've endeⅾ my fouг day lengthy hunt!
God Bless үoᥙ man. Ηave a nice day. Bye

Reply
avatar
Unknown
admin
November 18, 2017 at 10:30 AM ×

very usefull this thanks you ...

Reply
avatar
EL Maimani
admin
November 20, 2017 at 1:39 AM ×

Thank you,
Keep visiting my blog

Reply
avatar
ARUN KUMAR
admin
November 20, 2017 at 1:39 AM ×

Nice and usefull article

Reply
avatar

thank you for comment ConversionConversion EmoticonEmoticon